raushan hai zamane mein afsana mohabbat ka
raushan hai zamane mein afsana mohabbat ka
Abdul Majeed Dard Bhopali
MORE BYAbdul Majeed Dard Bhopali
raushan hai zamāne meñ afsāna mohabbat kā
ḳhurshīd-e-mohabbat hai paimāna mohabbat kā
ai zāhid-e-nādāñ vo kyā dair-o-haram jaane
dil jis kā azal se ho dīvāna mohabbat kā
rangīn shuāoñ se māmūr hai har zarra
ābād tajallī hai vīrāna mohabbat kā
qatra bhī mujhe aksar dariyā nazar aatā hai
jis din se piyā maiñ ne paimāna mohabbat kā
jaarī rahe mai-noshī mastān-e-mohabbat kī
ābād ḳhudā rakhe mai-ḳhāna mohabbat kā
āġhāz se be-parvā anjām se nā-vāqif
āzād hai har ġham se dīvāna mohabbat kā
jo ḳhud se ho be-parvā aur ishq se begāna
ai 'dard' vo kyā samjhe afsāna mohabbat kā
raushan hai zamane mein afsana mohabbat ka
KHurshid-e-mohabbat hai paimana mohabbat ka
ai zahid-e-nadan wo kya dair-o-haram jaane
dil jis ka azal se ho diwana mohabbat ka
rangin shuaon se mamur hai har zarra
aabaad tajalli hai virana mohabbat ka
qatra bhi mujhe aksar dariya nazar aata hai
jis din se piya main ne paimana mohabbat ka
jari rahe mai-noshi mastan-e-mohabbat ki
aabaad KHuda rakhe mai-KHana mohabbat ka
aaghaz se be-parwa anjam se na-waqif
aazad hai har gham se diwana mohabbat ka
jo KHud se ho be-parwa aur ishq se begana
ai 'dard' wo kya samjhe afsana mohabbat ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.