raushan kuchh imkan nahin hai
raushan kuchh imkān nahīñ hai
ghar meñ raushan-dān nahīñ hai
duniyā se sambañdh na rakhnā
mushkil hai āsān nahīñ hai
jism nazar aate haiñ lekin
in meñ koī jaan nahīñ hai
is ko tum barbād na karnā
dil afghanistan nahīñ hai
dil se paḌh qur.ān ko 'qaisar'
'ġhālib' kā dīvān nahīñ hai
raushan kuchh imkan nahin hai
ghar mein raushan-dan nahin hai
duniya se sambandh na rakhna
mushkil hai aasan nahin hai
jism nazar aate hain lekin
in mein koi jaan nahin hai
is ko tum barbaad na karna
dil afghanistan nahin hai
dil se paDh quran ko 'qaisar'
'ghaalib' ka diwan nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.