raushni aadmi tirgi aadmi
raushnī aadmī tīrgī aadmī
zindagī aadmī maut bhī aadmī
hai sarāpā-e-jurm-o-badī aadmī
kho chukā apnī pahchān bhī aadmī
aadmī aadmī haiñ barābar magar
sochtā hī nahīñ ye koī aadmī
aadmī aadmī hī se bezār hai
past hai kis qadar vāqa'ī aadmī
jis ne baḳhshī thī lākhoñ ko āzādiyāñ
hai asīr-e-ġhulāmī vahī aadmī
har kisī ko ḳhushī-āshnā kar gayā
bazm meñ aa ke ik ajnabī aadmī
kitnā past ādmiyyat kā me'yār hai
sochtā ye bhī 'tābish' kabhī aadmī
raushni aadmi tirgi aadmi
zindagi aadmi maut bhi aadmi
hai sarapa-e-jurm-o-badi aadmi
kho chuka apni pahchan bhi aadmi
aadmi aadmi hain barabar magar
sochta hi nahin ye koi aadmi
aadmi aadmi hi se bezar hai
past hai kis qadar waqa'i aadmi
jis ne baKHshi thi lakhon ko aazadiyan
hai asir-e-ghulami wahi aadmi
har kisi ko KHushi-ashna kar gaya
bazm mein aa ke ek ajnabi aadmi
kitna past aadmiyyat ka me'yar hai
sochta ye bhi 'tabish' kabhi aadmi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.