raushni apni taraf jab bhi bulati hai hamein
raushnī apnī taraf jab bhī bulātī hai hameñ
tīrgī Thiik tabhī aañkh dikhātī hai hameñ
roz koshish hai yahī zinda raheñ ham lekin
zindagī roz nayā zahr pilātī hai hameñ
kal ke har ek ujāle pe tumhārā haq hai
raat har raat yahī gā ke sulātī hai hameñ
raushni apni taraf jab bhi bulati hai hamein
tirgi Thik tabhi aankh dikhati hai hamein
roz koshish hai yahi zinda rahen hum lekin
zindagi roz naya zahr pilati hai hamein
kal ke har ek ujale pe tumhaara haq hai
raat har raat yahi ga ke sulati hai hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.