raushni dar raushni hai us taraf
raushnī dar raushnī hai us taraf
zindagī dar zindagī hai us taraf
jin azāboñ se guzarte haiñ yahāñ
un azāboñ kī nafī hai us taraf
ik rihā.ish ḳhvāhish-e-dil kī tarah
ik numā.ish ḳhvāb kī hai us taraf
jo bikhar kar rah gayā hai is jagah
husn kī ik shakl bhī hai us taraf
justujū jis kī yahāñ par kī 'munīr'
us se milne kī ḳhushī hai us taraf
raushni dar raushni hai us taraf
zindagi dar zindagi hai us taraf
jin azabon se guzarte hain yahan
un azabon ki nafi hai us taraf
ek rihaish KHwahish-e-dil ki tarah
ek numaish KHwab ki hai us taraf
jo bikhar kar rah gaya hai is jagah
husn ki ek shakl bhi hai us taraf
justuju jis ki yahan par ki 'munir'
us se milne ki KHushi hai us taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.