raushni ka sath mahnga paD gaya hai
raushni ka sath mahnga paD gaya hai
Nishant Shrivastava Nayab
MORE BYNishant Shrivastava Nayab
raushnī kā saath mahñgā paḌ gayā hai
jaane kis vahshat meñ saaya paḌ gayā hai
aap kī jādūgarī ke vāste hī
ḳhud ko hairat meñ dikhānā paḌ gayā hai
phir mujhe darpesh haiñ ḳhushiyāñ tumhārī
phir se ġham apnā chhupānā paḌ gayā hai
ham kahāñ un ko biThā.eñ soch meñ haiñ
ghar hamārā kitnā chhoTā paḌ gayā hai
dasht kī azmat bhī ab ḳhatre meñ aa.ī
mere pīchhe ghar kā rasta paḌ gayā hai
khīñch laatā hai mujhe dar tak tumhāre
mere pīchhe koī bachcha paḌ gayā hai
maiñ lagā huuñ DhūñDhne meñ ruuh ko aur
jism bechāra akelā paḌ gayā hai
raushni ka sath mahnga paD gaya hai
jaane kis wahshat mein saya paD gaya hai
aap ki jadugari ke waste hi
KHud ko hairat mein dikhana paD gaya hai
phir mujhe darpesh hain KHushiyan tumhaari
phir se gham apna chhupana paD gaya hai
hum kahan un ko biThaen soch mein hain
ghar hamara kitna chhoTa paD gaya hai
dasht ki azmat bhi ab KHatre mein aai
mere pichhe ghar ka rasta paD gaya hai
khinch lata hai mujhe dar tak tumhaare
mere pichhe koi bachcha paD gaya hai
main laga hun DhunDhne mein ruh ko aur
jism bechaara akela paD gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.