raushni ke jhilmilate silsile mein kaun hai
raushnī ke jhilmilāte silsile meñ kaun hai
raat kī karvaT batā.egī diye meñ kaun hai
Thokareñ khātā huuñ aur phir ḳhud se Takrātā huuñ maiñ
aisā bhī is baar mere rāste meñ kaun hai
dekhnā paḌtī hai ḳhud hī aks kī sūrat-garī
aa.ina kaise batā.e aa.ine meñ kaun hai
apne dāman meñ kiyā kartā hai sab kī parvarish
dekhtā kab hai shajar kis ghoñsle meñ kaun hai
lau ka.ī shakleñ banātī hai dar-o-dīvār par
is diye ke saath jaane ratjage meñ kaun hai
raushni ke jhilmilate silsile mein kaun hai
raat ki karwaT bataegi diye mein kaun hai
Thokaren khata hun aur phir KHud se Takraata hun main
aisa bhi is bar mere raste mein kaun hai
dekhna paDti hai KHud hi aks ki surat-gari
aaina kaise batae aaine mein kaun hai
apne daman mein kiya karta hai sab ki parwarish
dekhta kab hai shajar kis ghonsle mein kaun hai
lau kai shaklen banati hai dar-o-diwar par
is diye ke sath jaane ratjage mein kaun hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.