raushni ki ye hawas kya kya jalaegi na puchh
raushnī kī ye havas kyā kyā jalā.egī na pūchh
ārzū-e-subh kitne zulm Dhā.egī na pūchh
hosh meñ aa.egī duniyā merī be-hoshī ke ba.ad
merī ḳhāmoshī vo hañgāma machāegī na pūchh
nasl-e-ādam rafta rafta ḳhud ko kar legī tabāh
itnī saḳhtī se qayāmat pesh aa.egī na pūchh
darmiyāñ jo jism kā parda hai kaise hogā chaak
maut kis tarkīb se ham ko milā.egī na pūchh
jism ijāzat de hī degā par simaT jaane ke ba.ad
ruuh kaise is qafas ko ghar banā.egī na pūchh
raushni ki ye hawas kya kya jalaegi na puchh
aarzu-e-subh kitne zulm Dhaegi na puchh
hosh mein aaegi duniya meri be-hoshi ke baad
meri KHamoshi wo hangama machaegi na puchh
nasl-e-adam rafta rafta KHud ko kar legi tabah
itni saKHti se qayamat pesh aaegi na puchh
darmiyan jo jism ka parda hai kaise hoga chaak
maut kis tarkib se hum ko milaegi na puchh
jism ijazat de hi dega par simaT jaane ke baad
ruh kaise is qafas ko ghar banaegi na puchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.