raushni parchhain paikar aaKHiri
raushnī parchhā.īñ paikar āḳhirī
dekh luuñ jī bhar ke manzar āḳhirī
maiñ havā ke jhakkaḌoñ ke darmiyāñ
aur tan par ek chādar āḳhirī
zarb ik Thahre hue paanī pe aur
jaate jaate pheñk kankar āḳhirī
donoñ mujrim aa.ine ke sāmne
pahlā patthar ho ki patthar āḳhirī
TūTtī ik din lahū kī ḳhāmushī
dekh lete ham bhī mahshar āḳhirī
ye bhī TuuTā to kahāñ jā.eñge ham
ik tasavvur hī to hai ghar āḳhirī
dil musalsal zaḳhm chāhe hai 'zafar'
aur us ke paas patthar āḳhirī
raushni parchhain paikar aaKHiri
dekh lun ji bhar ke manzar aaKHiri
main hawa ke jhakkaDon ke darmiyan
aur tan par ek chadar aaKHiri
zarb ek Thahre hue pani pe aur
jate jate phenk kankar aaKHiri
donon mujrim aaine ke samne
pahla patthar ho ki patthar aaKHiri
TuTti ek din lahu ki KHamushi
dekh lete hum bhi mahshar aaKHiri
ye bhi TuTa to kahan jaenge hum
ek tasawwur hi to hai ghar aaKHiri
dil musalsal zaKHm chahe hai 'zafar'
aur us ke pas patthar aaKHiri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.