raushni raushni se haari hai
raushnī raushnī se haarī hai
har sitāre pe chāñd bhārī hai
kyā batā.eñ ki kis tarah tanhā
ham ne ye zindagī guzārī hai
vo mile ġhair kī tarah ham se
aisī kaisī ye parda-dārī hai
mujh ko rakhtī hai duur mujh se hī
mere andar jo ḳhāksārī hai
daañv par aa ga.ī anā merī
vaqt sab se baḌā juārī hai
ek muddat se tanhā is dil meñ
be-qarārī hī be-qarārī hai
raushni raushni se haari hai
har sitare pe chand bhaari hai
kya bataen ki kis tarah tanha
hum ne ye zindagi guzari hai
wo mile ghair ki tarah hum se
aisi kaisi ye parda-dari hai
mujh ko rakhti hai dur mujh se hi
mere andar jo KHaksari hai
danw par aa gai ana meri
waqt sab se baDa juari hai
ek muddat se tanha is dil mein
be-qarari hi be-qarari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.