rawan-dawan hai zindagi charagh ke baghair bhi
ravāñ-davāñ hai zindagī charāġh ke baġhair bhī
hai mere ghar meñ raushnī charāġh ke baġhair bhī
the jis kī justujū meñ sab harīf-e-kārvān-e-shab
vo raah ham ne DhūñD lī charāġh ke baġhair bhī
mohabbatoñ ke diip har qadam pe maiñ jalā.ūñgā
hai mujh meñ zauq-e-āgahī charāġh ke baġhair bhī
vo zindagī jo mash.al-e-vafā kī ham-rikāb thī
guzar ga.ī hañsī-ḳhushī charāġh ke baġhair bhī
rawan-dawan hai zindagi charagh ke baghair bhi
hai mere ghar mein raushni charagh ke baghair bhi
the jis ki justuju mein sab harif-e-karwan-e-shab
wo rah hum ne DhunD li charagh ke baghair bhi
mohabbaton ke dip har qadam pe main jalaunga
hai mujh mein zauq-e-agahi charagh ke baghair bhi
wo zindagi jo mashal-e-wafa ki ham-rikab thi
guzar gai hansi-KHushi charagh ke baghair bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.