rawan hai waqt rawani mein aab jaisa hai
ravāñ hai vaqt ravānī meñ aab jaisā hai
Thahar na paayā kahīñ bhī habāb jaisā hai
sukūn-e-qalb kī māñgeñ duā to kyoñ māñgeñ
sukūn-e-qalb agar iztirāb jaisā hai
lahū kā rang bahāroñ meñ Dhal gayā jab se
har ek daaġh jigar kā gulāb jaisā hai
har ek qalb sahīfa hai ehtirām karo
har ek chehre ko paḌh lo kitāb jaisā hai
rivāyatoñ pe mohabbat kī ab yaqīn nahīñ
mohabbatoñ kā nazārā sarāb jaisā hai
ulajh rahā hai haqīqat se roz jo 'salmā'
use ḳhabar nahīñ vo ḳhud bhī ḳhvāb jaisā hai
rawan hai waqt rawani mein aab jaisa hai
Thahar na paya kahin bhi habab jaisa hai
sukun-e-qalb ki mangen dua to kyon mangen
sukun-e-qalb agar iztirab jaisa hai
lahu ka rang bahaaron mein Dhal gaya jab se
har ek dagh jigar ka gulab jaisa hai
har ek qalb sahifa hai ehtiram karo
har ek chehre ko paDh lo kitab jaisa hai
riwayaton pe mohabbat ki ab yaqin nahin
mohabbaton ka nazara sarab jaisa hai
ulajh raha hai haqiqat se roz jo 'salma'
use KHabar nahin wo KHud bhi KHwab jaisa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.