rawan in paniyon par bulbule hain
ravāñ in pāniyoñ par bulbule haiñ
sadaf gahre samundar meñ rakhe haiñ
shagūfe phūTte haiñ naḳhl-e-dil par
mire bachche mujhe jab chūmte haiñ
havā meñ titliyāñ uḌtī haiñ ab bhī
abhī tak log hañste bolte haiñ
tumheñ mālūm hai nā in laboñ par
mire hisse ke kuchh bose paḌe haiñ
hamāre saath rahte haiñ hamesha
baḌe achchhe hamāre mas.ale haiñ
mire jehlam tire dariyā ke ab bhī
mirī āñkhoñ se gahre rābte haiñ
zamīñ ko us kī miTTī sauñpnā thī
falak se is liye ham aa ga.e haiñ
ye kaise bādshāh-e-vaqt haiñ jo
mire ma.asūm bachche mārte haiñ
yahī āvāz aatī hai darūñ se
ham apnī raah se bhaTke hue haiñ
rawan in paniyon par bulbule hain
sadaf gahre samundar mein rakhe hain
shagufe phuTte hain naKHl-e-dil par
mere bachche mujhe jab chumte hain
hawa mein titliyan uDti hain ab bhi
abhi tak log hanste bolte hain
tumhein malum hai na in labon par
mere hisse ke kuchh bose paDe hain
hamare sath rahte hain hamesha
baDe achchhe hamare masale hain
mere jehlam tere dariya ke ab bhi
meri aankhon se gahre rabte hain
zamin ko us ki miTTi saunpna thi
falak se is liye hum aa gae hain
ye kaise baadshah-e-waqt hain jo
mere masum bachche marte hain
yahi aawaz aati hai darun se
hum apni rah se bhaTke hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.