Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rawan kis ko KHabar unwan-e-aghaz-e-jahaan kya tha

Jagat Mohan Lal Ravan

rawan kis ko KHabar unwan-e-aghaz-e-jahaan kya tha

Jagat Mohan Lal Ravan

MORE BYJagat Mohan Lal Ravan

    'ravāñ' kis ko ḳhabar unvān-e-āġhāz-e-jahā.an kyā thā

    zamīñ kyā thā naqsha aur rañg-e-āsmāñ kyā thā

    yahī hastī isī hastī ke kuchh TuuTe hue rishte

    vagarna aisā parda mere un ke darmiyāñ kyā thā

    tirā baḳhshā huā dil aur dil ye havas-kārī

    mirā is meñ qusūr ai dast-gīr-e-āsiyāñ kyā thā

    agar kuchh roz zinda rah ke mar jaanā muqaddar hai

    to is duniyā meñ āḳhir bā.is-e-taḳhlīq-e-jāñ kyā thā

    ham itne fāsle par aa ga.e haiñ ahd-e-māzī se

    ḳhabar ye bhī nahīñ ajdād nām-o-nishāñ kyā thā

    kisī barq-e-tajallī par zarā ġhaur kar lenā

    agar ye jānñā ho ālam-e-rūh-e-'ravāñ kyā thā

    'rawan' kis ko KHabar unwan-e-aghaz-e-jahaan kya tha

    zamin ka kya tha naqsha aur rang-e-asman kya tha

    yahi hasti isi hasti ke kuchh TuTe hue rishte

    wagarna aisa parda mere un ke darmiyan kya tha

    tera baKHsha hua dil aur dil ki ye hawas-kari

    mera is mein qusur ai dast-gir-e-asiyan kya tha

    agar kuchh roz zinda rah ke mar jaana muqaddar hai

    to is duniya mein aaKHir bais-e-taKHliq-e-jaan kya tha

    hum itne fasle par aa gae hain ahd-e-mazi se

    KHabar ye bhi nahin ajdad ka nam-o-nishan kya tha

    kisi barq-e-tajalli par zara sa ghaur kar lena

    agar ye jaanna ho aalam-e-ruh-e-'rawan kya tha

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    rawan kis ko KHabar unwan-e-aghaz-e-jahaan kya tha Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now