rawayya kafi kuchh badla hua hai aasmanon ka
ravayya kaafī kuchh badlā huā hai āsmānoñ kā
magar naqsha vahī hai ab ke bhī ḳhālī makānoñ kā
vahī ik qissa ab tak dhyān meñ raushan nahīñ hotā
tasalsul jis se vābasta hai pichhlī dāstānoñ kā
udhar se bhī kisī āvāz kī aamad nahīñ mumkin
idhar bhī zāviya badlā huā hai apne kānoñ kā
bahut ḳhush-rang thī parvāz un ḳhāmosh bāñhoñ kī
jahāñ bhī hausla darkār thā ūñchī uḌānoñ kā
rawayya kafi kuchh badla hua hai aasmanon ka
magar naqsha wahi hai ab ke bhi KHali makanon ka
wahi ek qissa ab tak dhyan mein raushan nahin hota
tasalsul jis se wabasta hai pichhli dastanon ka
udhar se bhi kisi aawaz ki aamad nahin mumkin
idhar bhi zawiya badla hua hai apne kanon ka
bahut KHush-rang thi parwaz un KHamosh banhon ki
jahan bhi hausla darkar tha unchi uDanon ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.