rawish mein gardish-e-sayyargan se achchhi hai
ravish meñ gardish-e-sayyārgāñ se achchhī hai
zamīñ kahīñ kī bhī ho āsmāñ se achchhī hai
jo harf-e-haq kī himāyat meñ ho vo gum-nāmī
hazār vaz.a ke nām-o-nishāñ se achchhī hai
ajab nahīñ kal usī kī zabān khīñchī jaa.e
jo kah rahā hai ḳhamoshī zabāñ se achchhī hai
bas ek ḳhauf kahīñ dil ye baat maan na jaa.e
ye ḳhāk-e-ġhair hameñ āshiyāñ se achchhī hai
ham aise gul-zadgāñ ko bahār-e-yak-sā.at
nigār-ḳhāna-e-ahd-e-ḳhazāñ se achchhī hai
rawish mein gardish-e-sayyargan se achchhi hai
zamin kahin ki bhi ho aasman se achchhi hai
jo harf-e-haq ki himayat mein ho wo gum-nami
hazar waza ke nam-o-nishan se achchhi hai
ajab nahin kal usi ki zaban khinchi jae
jo kah raha hai KHamoshi zaban se achchhi hai
bas ek KHauf kahin dil ye baat man na jae
ye KHak-e-ghair hamein aashiyan se achchhi hai
hum aise gul-zadgan ko bahaar-e-yak-saat
nigar-KHana-e-ahd-e-KHazan se achchhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.