Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rawish us chaal mein talwar ki hai

Aasi Ghazipuri

rawish us chaal mein talwar ki hai

Aasi Ghazipuri

MORE BYAasi Ghazipuri

    ravish us chaal meñ talvār hai

    maut ushshāq-e-gunahgār hai

    gul o gulshan se kabhī na lagā.e

    ye sadā murġh-e-giraftār hai

    rashk-e-gulshan ho ilāhī ye qafas

    ye sadā murġh-e-giraftār hai

    nik.hat-e-gul na sabā bhī laa.ī

    ye sadā murġh-e-giraftār hai

    aa ke be-parda mileñ vo dam-e-naz.a

    ye duā āshiq-e-bīmār hai

    pesh-e-mehrāb na kyuuñ sajde hoñ

    sūrat us abru-e-ḳhamdār hai

    chaal vo chal ki na ho mahshar-ḳhez

    ye ravish charḳh-e-jafākār hai

    mujh ko hañgāma-e-mahshar se ġharaz

    bas tamannā tire dīdār hai

    talab-e-rāh-e-ḳhudā meñ lekin

    pairvī haidar-e-karrār hai

    rawish us chaal mein talwar ki hai

    maut ushshaq-e-gunahgar ki hai

    gul o gulshan se kabhi ji na lagae

    ye sada murgh-e-giraftar ki hai

    rashk-e-gulshan ho ilahi ye qafas

    ye sada murgh-e-giraftar ki hai

    nikhat-e-gul na saba bhi lai

    ye sada murgh-e-giraftar ki hai

    aa ke be-parda milen wo dam-e-naza

    ye dua aashiq-e-bimar ki hai

    pesh-e-mehrab na kyun sajde hon

    surat us abru-e-KHamdar ki hai

    chaal wo chal ki na ho mahshar-KHez

    ye rawish charKH-e-jafakar ki hai

    mujh ko hangama-e-mahshar se gharaz

    bas tamanna tere didar ki hai

    talab-e-rah-e-KHuda mein lekin

    pairwi haidar-e-karrar ki hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now