reg-e-rawan pe naqsh-e-kaf-e-pa na dekhna
reg-e-rawan pe naqsh-e-kaf-e-pa na dekhna
Shafqat Tanveer Mirza
MORE BYShafqat Tanveer Mirza
reg-e-ravāñ pe naqsh-e-kaf-e-pā na dekhnā
ā.īna-e-zamīr meñ chehrā na dekhnā
be-sarfa hai lahū kī tamāzat mire liye
asrār-e-jism-o-jāñ ko barahna na dekhnā
jo āñsuoñ ke lā'l-o-javāhar bikher de
us ek mauj-e-dard ko uThtā na dekhnā
rātoñ kā chain din kā sukūñ ho agar 'azīz
chaltā hai saath saath jo saaya na dekhnā
hai shab kī āstīñ meñ gunāhoñ kī raushnī
zaḳhm-e-nazar se sūrat-e-zebā na dekhnā
ham bhī fasīl-e-shahr ke saa.e meñ aa ruke
vā ho dar-e-murād to sahrā na dekhnā
ye ehtiyāt-e-vaz-e-junūñ hī nahīñ magar
rāh-e-vafā meñ apne ko begāna dekhnā
har shāḳh par jale hue lamhoñ kī raakh hai
fasl-e-bahār zaḳhm-e-tamannā na dekhnā
reg-e-rawan pe naqsh-e-kaf-e-pa na dekhna
aaina-e-zamir mein chehra na dekhna
be-sarfa hai lahu ki tamazat mere liye
asrar-e-jism-o-jaan ko barahna na dekhna
jo aansuon ke la'l-o-jawahar bikher de
us ek mauj-e-dard ko uThta na dekhna
raaton ka chain din ka sukun ho agar 'aziz
chalta hai sath sath jo saya na dekhna
hai shab ki aastin mein gunahon ki raushni
zaKHm-e-nazar se surat-e-zeba na dekhna
hum bhi fasil-e-shahr ke sae mein aa ruke
wa ho dar-e-murad to sahra na dekhna
ye ehtiyat-e-waz-e-junun hi nahin magar
rah-e-wafa mein apne ko begana dekhna
har shaKH par jale hue lamhon ki rakh hai
fasl-e-bahaar zaKHm-e-tamanna na dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.