regzaron mein pal raha hun main
regzāroñ meñ pal rahā huuñ maiñ
chāñdī sonā ugal rahā huuñ maiñ
shakl-o-sūrat badal rahā huuñ maiñ
aa.ine meñ machal rahā huuñ maiñ
fāsla ab bahut zarūrī hai
terī qurbat se jal rahā huuñ maiñ
jab se hisse meñ shohrateñ aa.iiñ
chand āñkhoñ meñ khal rahā huuñ maiñ
naqsh-e-pā hī adū na ban jaa.e
apnī rāheñ badal rahā huuñ maiñ
qabl is ke javān ho dariyā
saarā sahrā nigal rahā huuñ maiñ
hijratoñ meñ baḌī tamāzat hai
lamha lamha pighal rahā huuñ maiñ
regzaron mein pal raha hun main
chandi sona ugal raha hun main
shakl-o-surat badal raha hun main
aaine mein machal raha hun main
fasla ab bahut zaruri hai
teri qurbat se jal raha hun main
jab se hisse mein shohraten aain
chand aankhon mein khal raha hun main
naqsh-e-pa hi adu na ban jae
apni rahen badal raha hun main
qabl is ke jawan ho dariya
sara sahra nigal raha hun main
hijraton mein baDi tamazat hai
lamha lamha pighal raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.