watan ki sar-zamin se ishq o ulfat hum bhi rakhte hain
vatan kī sar-zamīñ se ishq o ulfat ham bhī rakhte haiñ
khaTaktī jo rahe dil meñ vo hasrat ham bhī rakhte haiñ
zarūrat ho to mar miTne kī himmat ham bhī rakhte haiñ
ye jur.at ye shujā.at ye basālat ham bhī rakhte haiñ
zamāne ko hilā dene ke daave bāñdhne vaalo
zamāne ko hilā dene kī tāqat ham bhī rakhte haiñ
balā se ho agar saarā jahāñ un kī himāyat par
ḳhuda-e-har-do-ālam kī himāyat ham bhī rakhte haiñ
bahār-e-gulshan-e-ummīd bhī sairāb ho jaa.e
karam kī aarzū ai abr-e-rahmat ham bhī rakhte haiñ
gila nā-mehrbānī kā to sab se sun liyā tum ne
tumhārī mehrbānī kī shikāyat ham bhī rakhte haiñ
bhalā.ī ye ki āzādī se ulfat tum bhī rakhte ho
burā.ī ye ki āzādī se ulfat ham bhī rakhte haiñ
hamārā naam bhī shāyad gunahgāroñ meñ shāmil ho
janāb-e-'josh' se sāhab salāmat ham bhī rakhte haiñ
watan ki sar-zamin se ishq o ulfat hum bhi rakhte hain
khaTakti jo rahe dil mein wo hasrat hum bhi rakhte hain
zarurat ho to mar miTne ki himmat hum bhi rakhte hain
ye jurat ye shujaat ye basalat hum bhi rakhte hain
zamane ko hila dene ke dawe bandhne walo
zamane ko hila dene ki taqat hum bhi rakhte hain
bala se ho agar sara jahan un ki himayat par
KHuda-e-har-do-alam ki himayat hum bhi rakhte hain
bahaar-e-gulshan-e-ummid bhi sairab ho jae
karam ki aarzu ai abr-e-rahmat hum bhi rakhte hain
gila na-mehrbani ka to sab se sun liya tum ne
tumhaari mehrbani ki shikayat hum bhi rakhte hain
bhalai ye ki aazadi se ulfat tum bhi rakhte ho
burai ye ki aazadi se ulfat hum bhi rakhte hain
hamara nam bhi shayad gunahgaron mein shamil ho
janab-e-'josh' se sahab salamat hum bhi rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.