ret aankhon mein bhar gaya dariya
ret āñkhoñ meñ bhar gayā dariyā
kaise aayā kidhar gayā dariyā
rāsta mil sakā na āñkhoñ se
mere andar hī mar gayā dariyā
maiñ to pyāsā thā ḳhushk sahrā sā
mujh meñ kaise utar gayā dariyā
us kī āñkhoñ kī dekh gahrā.ī
ḳhāmushī se guzar gayā dariyā
baat kitnī thī muḳhtasar us kī
vo to kuuze meñ bhar gayā dariyā
phir muqaddar vahāñ thī barbādī
jis taraf se guzar gayā dariyā
dekhne kī thiiñ us kī maujeñ phir
baat se jab mukar gayā dariyā
dekh kar is qadar talātum ko
merī āñkhoñ se Dar gayā dariyā
ret aankhon mein bhar gaya dariya
kaise aaya kidhar gaya dariya
rasta mil saka na aankhon se
mere andar hi mar gaya dariya
main to pyasa tha KHushk sahra sa
mujh mein kaise utar gaya dariya
us ki aankhon ki dekh gahrai
KHamushi se guzar gaya dariya
baat kitni thi muKHtasar us ki
wo to kuze mein bhar gaya dariya
phir muqaddar wahan thi barbaadi
jis taraf se guzar gaya dariya
dekhne ki thin us ki maujen phir
baat se jab mukar gaya dariya
dekh kar is qadar talatum ko
meri aankhon se Dar gaya dariya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.