ret ki tarah kinaron pe hain Darne wale
ret kī tarah kināroñ pe haiñ Darne vaale
mauj-dar-mauj ga.e paar utarne vaale
aaj kāñToñ se garebān chhuḌā.eñ to sahī
lāla-o-gul pe kabhī paañv na dharne vaale
ruup se chhab se phaban se koī āgāh nahīñ
naqsh-kār-e-lab-o-āriz haiñ sañvarne vaale
koī jiine kā salīqa ho to maiñ bhī jānūñ
maut āsān hai mar jaate haiñ marne vaale
mere jiine kā ye uslūb pata detā hai
ki abhī ishq meñ kuchh kaam haiñ karne vaale
ret ki tarah kinaron pe hain Darne wale
mauj-dar-mauj gae par utarne wale
aaj kanTon se gareban chhuDaen to sahi
lala-o-gul pe kabhi panw na dharne wale
rup se chhab se phaban se koi aagah nahin
naqsh-kar-e-lab-o-ariz hain sanwarne wale
koi jine ka saliqa ho to main bhi jaanun
maut aasan hai mar jate hain marne wale
mere jine ka ye uslub pata deta hai
ki abhi ishq mein kuchh kaam hain karne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.