ret muTThi mein bhari pani se aaghaz kiya
ret muTThī meñ bharī paanī se āġhāz kiyā
saḳht mushkil meñ thā āsānī se āġhāz kiyā
mujh ko miTTī se badan bante hue umr lagī
merī ta.amīr ne vīrānī se āġhāz kiyā
ye jahānoñ kā zamānoñ kā makānoñ kā safar
ġhaib ne lafz se yā ma.anī se āġhāz kiyā
jab bhī ye aañkh anāsir kī taraf dekhtī hai
yaad aatā hai pareshānī se āġhāz kiyā
jism aur ism mujhe kaise mile kis ne diye
in savālāt kī hairānī se āġhāz kiyā
ek ḳhāmosh samundar thā mire chaar taraf
jis meñ āvāz ne tuġhyānī se āġhāz kiyā
mujh ko bad-sūratī-e-jism kā andāza hai
maiñ ne ā.īna-e-uryānī se āġhāz kiyā
ret muTThi mein bhari pani se aaghaz kiya
saKHt mushkil mein tha aasani se aaghaz kiya
mujh ko miTTi se badan bante hue umr lagi
meri tamir ne virani se aaghaz kiya
ye jahanon ka zamanon ka makanon ka safar
ghaib ne lafz se ya mani se aaghaz kiya
jab bhi ye aankh anasir ki taraf dekhti hai
yaad aata hai pareshani se aaghaz kiya
jism aur ism mujhe kaise mile kis ne diye
in sawalat ki hairani se aaghaz kiya
ek KHamosh samundar tha mere chaar taraf
jis mein aawaz ne tughyani se aaghaz kiya
mujh ko bad-surati-e-jism ka andaza hai
main ne aaina-e-uryani se aaghaz kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.