ret ret har chehra in mein tu juda ho ja
ret ret har chehra in meñ tū judā ho jā
ban sake masīhā to jazba-āshnā ho jā
reza-reza ā.īna aur jāñ-gusil lamhe
ġham ko mere gum kar de dard kī davā ho jā
naav apnī kyoñ Duube makr ke samundar meñ
aap apnā sāhil ban ḳhud hī nāḳhudā ho jā
zindagī kā hāsil to ḳhāmushī nahīñ sā.īñ
harf harf chingārī bhar le lab-kushā ho jā
ruuh ke sharāre se bijliyāñ sī kauñdeñgī
zaḳhm-e-dil rafū kar le ġhaib kī nidā ho jā
ret ret har chehra in mein tu juda ho ja
ban sake masiha to jazba-ashna ho ja
reza-reza aaina aur jaan-gusil lamhe
gham ko mere gum kar de dard ki dawa ho ja
naw apni kyon Dube makr ke samundar mein
aap apna sahil ban KHud hi naKHuda ho ja
zindagi ka hasil to KHamushi nahin sain
harf harf chingari bhar le lab-kusha ho ja
ruh ke sharare se bijliyan si kaundengi
zaKHm-e-dil rafu kar le ghaib ki nida ho ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.