ret sa din hai raat muTThi bhar
ret sā din hai raat muTThī bhar
aadmī kī bisāt muTThī bhar
rab kī kūza-garī kā afsūñ hai
ham sabhī kī hayāt muTThī bhar
ek musht-e-ġhubār hai hastī
aur ye kā.enāt muTThī bhar
had se be-had ḳhudā kī rahmat hai
aur apnī zakāt muTThī bhar
saare din kī thakan ke badle meñ
haath aa.ī hai raat muTThī bhar
log kahte haiñ zindagī jis ko
ḳhvāhishoñ kī barāt muTThī bhar
hijr ke din tavīl kitne haiñ
aur ye vasl-e-rāt muTThī bhar
talḳhiyāñ be-shumār haiñ 'armān'
aur lutf-e-nashāt muTThī bhar
ret sa din hai raat muTThi bhar
aadmi ki bisat muTThi bhar
rab ki kuza-gari ka afsun hai
hum sabhi ki hayat muTThi bhar
ek musht-e-ghubar hai hasti
aur ye kaenat muTThi bhar
had se be-had KHuda ki rahmat hai
aur apni zakat muTThi bhar
sare din ki thakan ke badle mein
hath aai hai raat muTThi bhar
log kahte hain zindagi jis ko
KHwahishon ki baraat muTThi bhar
hijr ke din tawil kitne hain
aur ye wasl-e-raat muTThi bhar
talKHiyan be-shumar hain 'arman'
aur lutf-e-nashat muTThi bhar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.