reza-reza hue yun subh ke aasar ki bas
reza-reza hue yuuñ sub.h ke āsār ki bas
aise ḳhvāboñ pe chalā.ī ga.ī talvār ki bas
sham.a kyā bujh sā gayā saarā jahān-e-āvāz
is qadar zor se chillā.ī shab-e-tār ki bas
kisī zindāñ kī zarūrat hī nahīñ pesh aa.ī
shahr kā shahr huā aisā giraftār ki bas
ḳhud-baḳhud pahuñche hai gul gosha-e-dastār ke paas
bāġhbāñ aisā bikā hai sar-e-darbār ki bas
log apne hī gharoñ ko nahīñ pahchān sake
lafz vo likkhe ga.e bar-sar-e-dīvār ki bas
ham ne chāhā thā ki be-sāḳhta-pan tum sā ho
aise bebāk hue shahr ke dildār ki bas
jaise maftūh na ho fāteh-e-sad-ālam ho
dil ne yuuñ Daal diye ishq meñ hathiyār ki bas
dīda-o-dil ko rahī parda-e-ġhaflat kī talāsh
āgahī ne vo kiyā ham ko gunahgār ki bas
reza-reza hue yun subh ke aasar ki bas
aise KHwabon pe chalai gai talwar ki bas
shama kya bujh sa gaya sara jahan-e-awaz
is qadar zor se chillai shab-e-tar ki bas
kisi zindan ki zarurat hi nahin pesh aai
shahr ka shahr hua aisa giraftar ki bas
KHud-baKHud pahunche hai gul gosha-e-dastar ke pas
baghban aisa bika hai sar-e-darbar ki bas
log apne hi gharon ko nahin pahchan sake
lafz wo likkhe gae bar-sar-e-diwar ki bas
hum ne chaha tha ki be-saKHta-pan tum sa ho
aise bebak hue shahr ke dildar ki bas
jaise maftuh na ho fateh-e-sad-alam ho
dil ne yun Dal diye ishq mein hathiyar ki bas
dida-o-dil ko rahi parda-e-ghaflat ki talash
aagahi ne wo kiya hum ko gunahgar ki bas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.