reza reza main sar-e-rah bikhar jaunga
reza reza maiñ sar-e-rāh bikhar jā.uñgā
tum se gar duur rahūñgā to maiñ mar jā.uñgā
shaam aa.egī to sochā hai kidhar jā.uñgā
ban ke ḳhurshīd samundar meñ utar jā.uñgā
vaqt lagnā hai magar kaam ye kar jā.uñgā
ik na ik din maiñ tire dil meñ utar jā.uñgā
mujh ko mā'lūm hai anjām-e-mohabbat ai dost
maiñ tujhe TuuT ke chāhūñgā bikhar jā.uñgā
yaad rakkhegī mujhe jis se ye duniyā 'faisal'
rāh-e-ulfat meñ koī kaam vo kar jā.uñgā
reza reza main sar-e-rah bikhar jaunga
tum se gar dur rahunga to main mar jaunga
sham aaegi to socha hai kidhar jaunga
ban ke KHurshid samundar mein utar jaunga
waqt lagna hai magar kaam ye kar jaunga
ek na ek din main tere dil mein utar jaunga
mujh ko ma'lum hai anjam-e-mohabbat ai dost
main tujhe TuT ke chahunga bikhar jaunga
yaad rakkhegi mujhe jis se ye duniya 'faisal'
rah-e-ulfat mein koi kaam wo kar jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.