reza reza tere chehre pe bikharti hui sham
reza reza tire chehre pe bikhartī huī shaam
qatra qatra mirī palkoñ pe utartī huī shaam
lamha lamha mire hāthoñ se saraktā huā din
aur āseb-zada dil meñ utartī huī shaam
sub.h kā ḳhvāb magar ḳhvāb ajab jāñ-levā
mere pahlū meñ sisaktī huī martī huī shaam
saath sāhil pe guzarte hue dekhī thī kabhī
yaad hai ab bhī samundar meñ utartī huī shaam
maiñ bhī tanhā huuñ to ye shaam bhī tanhā tanhā
ya.anī tanhā.ī meñ kuchh aur nikhartī huī shaam
reza reza tere chehre pe bikharti hui sham
qatra qatra meri palkon pe utarti hui sham
lamha lamha mere hathon se sarakta hua din
aur aaseb-zada dil mein utarti hui sham
subh ka KHwab magar KHwab ajab jaan-lewa
mere pahlu mein sisakti hui marti hui sham
sath sahil pe guzarte hue dekhi thi kabhi
yaad hai ab bhi samundar mein utarti hui sham
main bhi tanha hun to ye sham bhi tanha tanha
yani tanhai mein kuchh aur nikharti hui sham
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.