rida-e-KHak-e-talab dur tak bichha bhi de
ridā-e-ḳhāk-e-talab duur tak bichhā bhī de
barahna raah ko pairāhan-e-sadā bhī de
maiñ ek saada varaq huuñ tirī kahānī kā
jo ho sake to mujhe dāstāñ banā bhī de
hamāre darmiyāñ haa.il hai dushmanoñ kī tarah
jo ho sake to ye dīvār-e-ḳhauf Dhā bhī de
janam janam se ham apnī talāsh meñ gum haiñ
ham ahl-e-dard ko ham se kabhī milā bhī de
barahna peḌ ko shādābiyoñ se kar gulzār
gul-e-hayāt ko kuchh rang phir nayā bhī de
tire ḳhayāl kā jab sehn-e-dil meñ chāñd khile
udaas shaam ko manzar sā kuchh nayā bhī de
rida-e-KHak-e-talab dur tak bichha bhi de
barahna rah ko pairahan-e-sada bhi de
main ek sada waraq hun teri kahani ka
jo ho sake to mujhe dastan bana bhi de
hamare darmiyan hail hai dushmanon ki tarah
jo ho sake to ye diwar-e-KHauf Dha bhi de
janam janam se hum apni talash mein gum hain
hum ahl-e-dard ko hum se kabhi mila bhi de
barahna peD ko shadabiyon se kar gulzar
gul-e-hayat ko kuchh rang phir naya bhi de
tere KHayal ka jab sehn-e-dil mein chand khile
udas sham ko manzar sa kuchh naya bhi de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.