rida-e-zaKHm har gul-pairahan pahne hue hai
ridā-e-zaḳhm har gul-pairahan pahne hue hai
jise dekho vahī chup kā kafan pahne hue hai
vahī sach bolne vaalā hamārā dost dekho
gale meñ tauq paañv meñ rasan pahne hue hai
añdherī aur akelī raat aur dil aur yādeñ
ye jangal jugnuoñ kā pairahan pahne hue hai
rihā ho bhī chuke sab ham-qafas kab ke magar dil
ye vahshī ab bhī zanjīr-e-kuhan pahne hue hai
sunā hai ek aisā tā.ifa hai ahl-e-fan meñ
jo dīvāna nahīñ dīvāna-pan pahne hue hai
'farāz' is shahr meñ kis ko dikhā.ūñ zaḳhm apne
yahāñ to har koī mujh sā badan pahne hue hai
rida-e-zaKHm har gul-pairahan pahne hue hai
jise dekho wahi chup ka kafan pahne hue hai
wahi sach bolne wala hamara dost dekho
gale mein tauq panw mein rasan pahne hue hai
andheri aur akeli raat aur dil aur yaaden
ye jangal jugnuon ka pairahan pahne hue hai
riha ho bhi chuke sab ham-qafas kab ke magar dil
ye wahshi ab bhi zanjir-e-kuhan pahne hue hai
suna hai ek aisa taifa hai ahl-e-fan mein
jo diwana nahin diwana-pan pahne hue hai
'faraaz' is shahr mein kis ko dikhaun zaKHm apne
yahan to har koi mujh sa badan pahne hue hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.