ret par jitne bhī navishte haiñ
apne māhaul ke mujalle haiñ
kaun jaane kahāñ dafīne haiñ
apne to paas sirf naqshe haiñ
sūrateñ chhīn le gayā koī
is baras aa.ine akele haiñ
ḳhvāb, ḳhushbū, ḳhayāl, aur ḳhadshe
ek dīvār sau darīche haiñ
dostī 'ishq aur vafādārī
saḳht jaañ meñ bhī narm goshe haiñ
paḌh sako to kabhī paḌho un ko
shāḳh-dar-shāḳh bhī sahīfe haiñ
jugnuoñ ke paroñ se likkhe hue
jañgaloñ meñ ka.ī jarīde haiñ
ret par jitne bhi nawishte hain
apne mahaul ke mujalle hain
kaun jaane kahan dafine hain
apne to pas sirf naqshe hain
suraten chhin le gaya koi
is baras aaine akele hain
KHwab, KHushbu, KHayal, aur KHadshe
ek diwar sau dariche hain
dosti 'ishq aur wafadari
saKHt jaan mein bhi narm goshe hain
paDh sako to kabhi paDho un ko
shaKH-dar-shaKH bhi sahife hain
jugnuon ke paron se likkhe hue
jangalon mein kai jaride hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.