rind-e-KHarab-haal ko zahid na chheD tu
rind-e-ḳharāb-hāl ko zāhid na chheḌ tū
tujh ko parā.ī kyā paḌī apnī nabeḌ tū
nāḳhun ḳhudā na de tujhe ai panja-e-junūñ
degā tamām aql ke baḳhiye udheḌ tū
is said-e-muztarib ko tahammul se zab.h kar
dāmān o āstīñ na lahū meñ laTheḌ tū
chhuTtā hai kaun mar ke giraftār-e-dām-e-zulf
turbat pe us kī jaal kā pā.egā peḌ tū
ai zāhid-e-do-rañg na piir aap ko banā
mānind-e-sub.h-e-kāzib abhī hai adheḌ tū
ye tañgnā.e-dahr nahīñ manzil-e-farāġh
ġhāfil na paañv hirs ke phailā sukeḌ tū
ho qat.a naḳhl-e-ulfat agar phir bhī sabz ho
kyā ho jo pheñke jaḌ hī se us ko ukheḌ tū
jo sotī bhiiḌ bā.is-e-ġhauġhā jagā.e phir
darvāza ghar kā us sag-e-duniyā pe bheḌ tū
umr-e-ravāñ kā tausan-e-chālāk is liye
tujh ko diyā ki jald kare yaañ se eḌ tū
āvārgī se kū-e-mohabbat kī haath uThā
ai 'zauq' ye uThā na sakegā khakheḌ tū
rind-e-KHarab-haal ko zahid na chheD tu
tujh ko parai kya paDi apni nabeD tu
naKHun KHuda na de tujhe ai panja-e-junun
dega tamam aql ke baKHiye udheD tu
is said-e-muztarib ko tahammul se zabh kar
daman o aastin na lahu mein laTheD tu
chhuTta hai kaun mar ke giraftar-e-dam-e-zulf
turbat pe us ki jal ka paega peD tu
ai zahid-e-do-rang na pir aap ko bana
manind-e-subh-e-kazib abhi hai adheD tu
ye tangnae-dahr nahin manzil-e-faragh
ghafil na panw hirs ke phaila sukeD tu
ho qata naKHl-e-ulfat agar phir bhi sabz ho
kya ho jo phenke jaD hi se us ko ukheD tu
jo soti bhiD bais-e-ghaugha jagae phir
darwaza ghar ka us sag-e-duniya pe bheD tu
umr-e-rawan ka tausan-e-chaalak is liye
tujh ko diya ki jald kare yan se eD tu
aawargi se ku-e-mohabbat ki hath uTha
ai 'zauq' ye uTha na sakega khakheD tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.