rishta badan ka KHatm hua apni jaan se
rishta badan kā ḳhatm huā apnī jaan se
miltī hai shakl shahr kī mere makān se
ḳhvāhish ko us kī jaise koī daḳhl hī na thā
yuuñ us ne mujh ko pheñk diyā āsmān se
kaisī lagī hai aag ki bujhtī nahīñ kabhī
ik silsila hai kab se dhueñ kā chaTān se
muñh se jo baat niklī vo pahuñchī nagar nagar
lauTā na phir vo tiir jo niklā kamān se
patthar ke nīche dafn hai har harf-e-guftanī
ab sirf maslahat kā hai rishta zabān se
tairo lahū meñ apne to mumkin hai ḳhud ko paao
dhultā hai sirf jism hī gañgā-nahān se
rishta badan ka KHatm hua apni jaan se
milti hai shakl shahr ki mere makan se
KHwahish ko us ki jaise koi daKHl hi na tha
yun us ne mujh ko phenk diya aasman se
kaisi lagi hai aag ki bujhti nahin kabhi
ek silsila hai kab se dhuen ka chaTan se
munh se jo baat nikli wo pahunchi nagar nagar
lauTa na phir wo tir jo nikla kaman se
patthar ke niche dafn hai har harf-e-guftani
ab sirf maslahat ka hai rishta zaban se
tairo lahu mein apne to mumkin hai KHud ko pao
dhulta hai sirf jism hi ganga-nahan se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.