rishta-e-dam se jaan hai tan mein
rishta-e-dam se jaan hai tan meñ
manke manke se tere simran meñ
dīda-e-dil se dekhtā huuñ tujhe
sochtā huuñ jab apne maiñ man meñ
gul hai shabnam se aah dīda-e-tar
bin vo gul-rū ke sub.h-e-gulshan meñ
karbalā ke bagūle saare kaash
ḳhaak uḌātā huā phirūñ ban meñ
gauhar-e-āb-dār ke mānind
ashk ġhaltāñ haiñ mere dāman meñ
sarv-e-gulzār sā suhātā hai
vo mirā yaar ghar ke āñgan meñ
apnī sūrat ko ai shahansha-e-husn
'ishq' ke dekh dil ke darpan meñ
rishta-e-dam se jaan hai tan mein
manke manke se tere simran mein
dida-e-dil se dekhta hun tujhe
sochta hun jab apne main man mein
gul hai shabnam se aah dida-e-tar
bin wo gul-ru ke subh-e-gulshan mein
karbala ke bagule sare kash
KHak uData hua phirun ban mein
gauhar-e-ab-dar ke manind
ashk ghaltan hain mere daman mein
sarw-e-gulzar sa suhata hai
wo mera yar ghar ke aangan mein
apni surat ko ai shahansha-e-husn
'ishq' ke dekh dil ke darpan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.