Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rishta-e-dil ko der-pa rakhna

Shareef Munawwar

rishta-e-dil ko der-pa rakhna

Shareef Munawwar

MORE BYShareef Munawwar

    rishta-e-dil ko der-pā rakhnā

    is ta.alluq meñ fāsla rakhnā

    saarā aalam huā hai tang-nazar

    dosto tum to dil baḌā rakhnā

    aage baḌhne ke hausle ke saath

    vāpsī bhī rāsta rakhnā

    zindagī ke baḌe taqāze haiñ

    ḳhud ko har-rang-āshnā rakhnā

    shahr ko apnā jānñā lekin

    zaḳhm-e-āvārgī harā rakhnā

    bevafā sab na sab haiñ ahl-e-vafā

    ye ta.assur milā-julā rakhnā

    nahīñ dushvār jānñā us

    haañ nazar meñ adā adā rakhnā

    rishta-e-dil ko der-pa rakhna

    is talluq mein fasla rakhna

    sara aalam hua hai tang-nazar

    dosto tum to dil baDa rakhna

    aage baDhne ke hausle ke sath

    wapsi ka bhi rasta rakhna

    zindagi ke baDe taqaze hain

    KHud ko har-rang-ashna rakhna

    shahr ko apna jaanna lekin

    zaKHm-e-awargi hara rakhna

    bewafa sab na sab hain ahl-e-wafa

    ye tassur mila-jula rakhna

    nahin dushwar jaanna us ka

    han nazar mein ada ada rakhna

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now