rishta-e-dil ko maine toD diya
rishta-e-dil ko maiñ ne toḌ diyā
baat karnā bhī un se chhoḌ diyā
ab na aañsū haiñ aur na aaheñ haiñ
dil ko un kī taraf se moḌ diyā
un ke jaane pe ye huā mahsūs
ruuh ne goyā jism chhoḌ diyā
aable chalne meñ jo the haa.il
ḳhār-e-sahrā ne un ko phoḌ diyā
hai yaqīnan vo qābil-e-tausīf
jis ne TuuTe diloñ ko joḌ diyā
vaqt kā zor us pe kyā jis ne
panja-e-vaqt ko maroḌ diyā
us ne aañsū kī aarzū kī thī
ham ne 'ḳhurshīd' dil nichoḌ diyā
rishta-e-dil ko main ne toD diya
baat karna bhi un se chhoD diya
ab na aansu hain aur na aahen hain
dil ko un ki taraf se moD diya
un ke jaane pe ye hua mahsus
ruh ne goya jism chhoD diya
aable chalne mein jo the hail
KHar-e-sahra ne un ko phoD diya
hai yaqinan wo qabil-e-tausif
jis ne TuTe dilon ko joD diya
waqt ka zor us pe kya jis ne
panja-e-waqt ko maroD diya
us ne aansu ki aarzu ki thi
hum ne 'KHurshid' dil nichoD diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.