rishta-e-husn-o-mohabbat hai nihayat nazuk
rishta-e-husn-o-mohabbat hai nihāyat nāzuk
qasr-e-māshūq kī hotī hai iqāmat nāzuk
parda-e-mahmil-e-lailā se hai majnūñ ko tarās
rang chehre kā uḌā ho ga.ī hālat nāzuk
dast-e-nāzuk se girā panja-e-marjāñ nāgāh
dar-e-manshūr liye aa.ī hai saa.at nāzuk
marhala jashn-e-urūsī kā bahar-taur rahā
ban ga.ī aur sabīha kī sabāhat nāzuk
zeb detī nahīñ 'nasrīñ' ko ye duniyā-dārī
kis tarah ohda-barā hove zehānat nāzuk
rishta-e-husn-o-mohabbat hai nihayat nazuk
qasr-e-mashuq ki hoti hai iqamat nazuk
parda-e-mahmil-e-laila se hai majnun ko taras
rang chehre ka uDa ho gai haalat nazuk
dast-e-nazuk se gira panja-e-marjaan nagah
dar-e-manshur liye aai hai saat nazuk
marhala jashn-e-urusi ka bahar-taur raha
ban gai aur sabiha ki sabahat nazuk
zeb deti nahin 'nasrin' ko ye duniya-dari
kis tarah ohda-bara howe zehanat nazuk
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.