rishta-e-ulfat tum kya jaano
rishta-e-ulfat tum kyā jaano
dard-e-mohabbat tum kyā jaano
tum se bichhaḌ kar kyā kyā guzrī
dil pe qayāmat tum kyā jaano
kab kab tum se kyā pahuñchī hai
dil ko aziyyat tum kyā jaano
zāhir-o-bātin ek hai merā
merī haqīqat tum kyā jaano
aañkh meñ aañsū lab par aaheñ
aisī shikāyat tum kyā jaano
shab meñ uTh kar jo rote haiñ
un kī ibādat tum kyā jaano
dil to 'farmān' ā.īna hai
is kī nazākat tum kyā jaano
rishta-e-ulfat tum kya jaano
dard-e-mohabbat tum kya jaano
tum se bichhaD kar kya kya guzri
dil pe qayamat tum kya jaano
kab kab tum se kya pahunchi hai
dil ko aziyyat tum kya jaano
zahir-o-baatin ek hai mera
meri haqiqat tum kya jaano
aankh mein aansu lab par aahen
aisi shikayat tum kya jaano
shab mein uTh kar jo rote hain
un ki ibaadat tum kya jaano
dil to 'farman' aaina hai
is ki nazakat tum kya jaano
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.