rishte-nate kho gae sab ganw ka ghar kho gaya
rishte-nāte kho ga.e sab gaañv kā ghar kho gayā
rail kī siiTī bajī aur saarā manzar kho gayā
chalte phirte log saḌkeñ zindagī āvārgī
har nazāra ek din dil se nikal kar kho gayā
raat maiñ ne ḳhvāb dekhā ḳhvāb kī ta.abīr bhī
ik parinda chhat pe baiThā aur uḌ kar kho gayā
kuchh nahīñ ab aa.ine meñ saaf dhuñdlā kuchh nahīñ
aks kī āñkhoñ meñ jo hotā thā tevar kho gayā
un sabhī hairān bachchoñ kī tarah haiñ ham 'qamar'
vaqt ke is mele meñ jin kā muqaddar kho gayā
kho ga.e is baar mere ḳhvāb saare dhund meñ
aur ab ke ret meñ ye merā bistar kho gayā
rishte-nate kho gae sab ganw ka ghar kho gaya
rail ki siTi baji aur sara manzar kho gaya
chalte phirte log saDken zindagi aawargi
har nazara ek din dil se nikal kar kho gaya
raat main ne KHwab dekha KHwab ki tabir bhi
ek parinda chhat pe baiTha aur uD kar kho gaya
kuchh nahin ab aaine mein saf dhundla kuchh nahin
aks ki aankhon mein jo hota tha tewar kho gaya
un sabhi hairan bachchon ki tarah hain hum 'qamar'
waqt ke is mele mein jin ka muqaddar kho gaya
kho gae is bar mere KHwab sare dhund mein
aur ab ke ret mein ye mera bistar kho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.