rishton ka apna-pan jhuT
rishtoñ kā apnā-pan jhuuT
āshāoñ kā sāvan jhuuT
dil hī āsūda jo nahīñ
phuul bharā har āñgan jhuuT
us kā man jab kaalā hai
chehre kā ujlā-pan jhuuT
us kā chehra chāñd nahīñ
bole dil kā darpan jhuuT
dhartī kī azmat jo na ho
miTTī kā sauñdhā-pan jhuuT
jiddat-e-nudrat jān-e-ġhazal
lafzoñ kā tīkhā-pan jhuuT
jis meñ ḳhushiyāñ janm na leñ
'mehdī' vo ghar āñgan jhuuT
rishton ka apna-pan jhuT
aashaon ka sawan jhuT
dil hi aasuda jo nahin
phul bhara har aangan jhuT
us ka man jab kala hai
chehre ka ujla-pan jhuT
us ka chehra chand nahin
bole dil ka darpan jhuT
dharti ki azmat jo na ho
miTTi ka saundha-pan jhuT
jiddat-e-nudrat jaan-e-ghazal
lafzon ka tikha-pan jhuT
jis mein KHushiyan janm na len
'mehdi' wo ghar aangan jhuT
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.