riwaj-o-rasm na ghar-bar ke musafir hain
rivāj-o-rasm na ghar-bār ke musāfir haiñ
ham aur log haiñ us paar ke musāfir haiñ
safar qadīm se darpesh kaun sā hai hameñ
na jaane kaun sī dīvār ke musāfir haiñ
na manziloñ kā ta.ayyun na rāstoñ kī ḳhabar
ham aise log to be-kār ke musāfir haiñ
na sar meñ Dar hai kahīñ kā na ḳhauf-e-jaur-o-sitam
azaab raas haiñ āzār ke musāfir haiñ
haiñ farsh-e-rāh balā.eñ to ham-qadam aaseb
kisī jahān par asrār ke musāfir haiñ
mile agar to bhare ḳhushbueñ ḳhayāloñ meñ
ki dast-e-yār-e-tarah-dār ke musāfir haiñ
binā-e-raḳht binā-e-safar tavakkul hai
madad na dast-e-madad-gār ke musāfir haiñ
shumār-e-mauzūa-e-fitrat meñ sar khapāte haiñ
saroñ meñ dauḌte afkār ke musāfir haiñ
vo dostī ho adāvat ho kuchh bhī ho 'tāhir'
har ek chiiz meñ me.aar ke musāfir haiñ
riwaj-o-rasm na ghar-bar ke musafir hain
hum aur log hain us par ke musafir hain
safar qadim se darpesh kaun sa hai hamein
na jaane kaun si diwar ke musafir hain
na manzilon ka tayyun na raston ki KHabar
hum aise log to be-kar ke musafir hain
na sar mein Dar hai kahin ka na KHauf-e-jaur-o-sitam
azab ras hain aazar ke musafir hain
hain farsh-e-rah balaen to ham-qadam aaseb
kisi jahan par asrar ke musafir hain
mile agar to bhare KHushbuen KHayalon mein
ki dast-e-yar-e-tarah-dar ke musafir hain
bina-e-raKHt bina-e-safar tawakkul hai
madad na dast-e-madad-gar ke musafir hain
shumar-e-mauzua-e-fitrat mein sar khapate hain
saron mein dauDte afkar ke musafir hain
wo dosti ho adawat ho kuchh bhi ho 'tahir'
har ek chiz mein mear ke musafir hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.