riwajon mein rawadari bahut hai
rivājoñ meñ ravādārī bahut hai
yahāñ rishtoñ kī bīmārī bahut hai
bahut hī TuuT kar miltī hai duniyā
magar is meñ adākārī bahut hai
kahīñ pahchān meñ dhoka na khānā
ki chehroñ par riyā-kārī bahut hai
uThā leñge kiran kā bojh kal ham
abhī ye raat hī bhārī bahut hai
magar hai shart sāñsoñ kī zamānat
safar kī yuuñ to tayyārī bahut hai
riwajon mein rawadari bahut hai
yahan rishton ki bimari bahut hai
bahut hi TuT kar milti hai duniya
magar is mein adakari bahut hai
kahin pahchan mein dhoka na khana
ki chehron par riya-kari bahut hai
uTha lenge kiran ka bojh kal hum
abhi ye raat hi bhaari bahut hai
magar hai shart sanson ki zamanat
safar ki yun to tayyari bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.