ro rahi hai jis tarah ye shama parwane ke baad
ro rahī hai jis tarah ye sham.a parvāne ke ba.ad
aap bhī ro.eñge mujh ko mere mar jaane ke ba.ad
gar nahīñ miltī sharāb-e-nāb aañsū hī sahī
kuchh to piinā chāhiye furqat meñ ġham khāne ke ba.ad
rashk-e-jannat ban gayā thā aap ke aane se ghar
ho gayā dozaḳh se bad-tar phir chale jaane ke ba.ad
kyā ḳhabar ham bad-nasīboñ ko hai kyā shai-e-bahār
ham ne to gulshan ko dekhā hai ujaḌ jaane ke ba.ad
kyā batā.eñ tujh ko vaa.iz mai-kashī ke ham maze
aap ho jā.eñge ma.alūm ek paimāne ke ba.ad
rā.egāñ hone na do ai 'shauq' tum vaqt-e-azīz
ye vo shai hai jo nahīñ miltī hai kho jaane ke ba.ad
ro rahi hai jis tarah ye shama parwane ke baad
aap bhi roenge mujh ko mere mar jaane ke baad
gar nahin milti sharab-e-nab aansu hi sahi
kuchh to pina chahiye furqat mein gham khane ke baad
rashk-e-jannat ban gaya tha aap ke aane se ghar
ho gaya dozaKH se bad-tar phir chale jaane ke baad
kya KHabar hum bad-nasibon ko hai kya shai-e-bahaar
hum ne to gulshan ko dekha hai ujaD jaane ke baad
kya bataen tujh ko waiz mai-kashi ke hum maze
aap ho jaenge malum ek paimane ke baad
raegan hone na do ai 'shauq' tum waqt-e-aziz
ye wo shai hai jo nahin milti hai kho jaane ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.