ro ro ke bayan karte phiro ranj-o-alam KHub
ro ro ke bayāñ karte phiro ranj-o-alam ḳhuub
hāsil nahīñ kuchh bhī jo na ho rañg-e-qalam ḳhuub
bāzār meñ ik chiiz nahiñ kaam kī mere
ye shahr mirī jeb kā rakhtā hai bharam ḳhuub
manzil to kisī ḳhaas ko hī miltī hai, varna
dekhe to sabhī ne haiñ mire naqsh-e-qadam ḳhuub
ye Thiik hai rishte meñ bañdhā rahtā hai ab dil
is kā'be meñ hotā thā kabhī jashn-e-sanam ḳhuub
ro ro ke bayan karte phiro ranj-o-alam KHub
hasil nahin kuchh bhi jo na ho rang-e-qalam KHub
bazar mein ek chiz nahin kaam ki mere
ye shahr meri jeb ka rakhta hai bharam KHub
manzil to kisi KHas ko hi milti hai, warna
dekhe to sabhi ne hain mere naqsh-e-qadam KHub
ye Thik hai rishte mein bandha rahta hai ab dil
is ka'be mein hota tha kabhi jashn-e-sanam KHub
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.