ro ro ke ghairon ko hansana hum bhi kitne pagal hain
ro ro ke ġhairoñ ko hañsānā ham bhī kitne pāgal haiñ
yuuñ apnoñ ko aur rulānā ham bhī kitne pāgal haiñ
sachchoñ ko jhūTā gardānā ham bhī kitne pāgal haiñ
aur jhūToñ ko sachchā jaanā ham bhī kitne pāgal haiñ
aql-o-ḳhirad ne aksar Tokā un kī baat nahīñ maanī
apne dil kā kahnā maanā ham bhī kitne pāgal haiñ
apne ghar ko aag lagā kar un ke dar pe aa baiThe
begānoñ ko apnā jaanā ham bhī kitne pāgal haiñ
ahl-e-ḳhirad ko pāgal jaanā ahl-e-junūñ ko dīvāna
apne ko samjhā farzāna ham bhī kitne pāgal haiñ
jab un kī mahfil meñ baiThe hukm milā uTh jaane kā
phir bhī rakkhā ānā-jānā ham bhī kitne pāgal haiñ
ġhair ko apnā jaanā 'ālim' ThanDe dil se baat sunī
apnoñ ko samjhā begānā ham bhī kitne pāgal haiñ
ro ro ke ghairon ko hansana hum bhi kitne pagal hain
yun apnon ko aur rulana hum bhi kitne pagal hain
sachchon ko jhuTa gardana hum bhi kitne pagal hain
aur jhuTon ko sachcha jaana hum bhi kitne pagal hain
aql-o-KHirad ne aksar Toka un ki baat nahin mani
apne dil ka kahna mana hum bhi kitne pagal hain
apne ghar ko aag laga kar un ke dar pe aa baiThe
beganon ko apna jaana hum bhi kitne pagal hain
ahl-e-KHirad ko pagal jaana ahl-e-junun ko diwana
apne ko samjha farzana hum bhi kitne pagal hain
jab un ki mahfil mein baiThe hukm mila uTh jaane ka
phir bhi rakkha aana-jaana hum bhi kitne pagal hain
ghair ko apna jaana 'alim' ThanDe dil se baat suni
apnon ko samjha begana hum bhi kitne pagal hain
- Book : دامن تار تار (Pg. 115)
- Author : سید عالم واسطی
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.