ro ro ke sham-e-gham mein sawera karenge hum
ro ro ke shām-e-ġham meñ saverā kareñge ham
ashkoñ se dil kī aag ko ThanDā kareñge ham
phūñkā hai bijliyoñ ne nasheman bahār meñ
tā-zīst is ḳhayāl meñ taḌpā kareñge ham
le chal junūn-e-shauq usī rahguzār meñ
naqsh-e-qadam pe dost ke sajda kareñge ham
ab āshiyāñ kī yaad meñ ai shāḳh-e-āshiyāñ
hasrat se yaas se tujhe dekhā kareñge ham
ai 'rāz' dard-e-ishq ko dil meñ basā.eñge
kuchh apnī zindagī meñ izāfa kareñge ham
ro ro ke sham-e-gham mein sawera karenge hum
ashkon se dil ki aag ko ThanDa karenge hum
phunka hai bijliyon ne nasheman bahaar mein
ta-zist is KHayal mein taDpa karenge hum
le chal junun-e-shauq usi rahguzar mein
naqsh-e-qadam pe dost ke sajda karenge hum
ab aashiyan ki yaad mein ai shaKH-e-ashiyan
hasrat se yas se tujhe dekha karenge hum
ai 'raaz' dard-e-ishq ko dil mein basaenge
kuchh apni zindagi mein izafa karenge hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.