roenge chashm-e-tar na dekhenge
ro.eñge chashm-e-tar na dekheñge
ḳhvāb vo umr bhar na dekheñge
fat.h kā ḳhvāb dekhne vaale
apne shānoñ pe sar na dekheñge
ham savālī nikal paḌe ghar se
koī darvāza dar na dekheñge
dhuup kā sā.ebāñ saroñ par hai
raah meñ ham shajar na dekheñge
chaah kar bhī tujhe na chāheñge
dekh kar bhī magar na dekheñge
pastiyoñ se bulandiyāñ kam haiñ
ham ye zer-o-zabar bhī dekheñge
shauq-e-dīdār hai 'jamīl' ahmad
ham tire bām-o-dar na dekheñge
roenge chashm-e-tar na dekhenge
KHwab wo umr bhar na dekhenge
fath ka KHwab dekhne wale
apne shanon pe sar na dekhenge
hum sawali nikal paDe ghar se
koi darwaza dar na dekhenge
dhup ka saeban saron par hai
rah mein hum shajar na dekhenge
chah kar bhi tujhe na chahenge
dekh kar bhi magar na dekhenge
pastiyon se bulandiyan kam hain
hum ye zer-o-zabar bhi dekhenge
shauq-e-didar hai 'jamil' ahmad
hum tere baam-o-dar na dekhenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.