rog dil ko laga gain aankhen
rog dil ko lagā ga.iiñ āñkheñ
ik tamāshā dikhā ga.iiñ āñkheñ
mil ke un kī nigāh-e-jādū se
dil ko hairāñ banā ga.iiñ āñkheñ
mujh ko dikhlā ke rāh-e-kūcha-yār
kis ġhazab meñ phañsā ga.iiñ āñkheñ
us ne dekhā thā kis nazar se mujhe
dil meñ goyā samā ga.iiñ āñkheñ
mahfil-e-yār meñ ba-zauq-e-nigāh
lutf kyā kyā uThā ga.iiñ āñkheñ
haal sunte vo kyā mirā 'hasrat'
vo to kahiye sunā ga.iiñ āñkheñ
rog dil ko laga gain aankhen
ek tamasha dikha gain aankhen
mil ke un ki nigah-e-jadu se
dil ko hairan bana gain aankhen
mujh ko dikhla ke rah-e-kucha-yar
kis ghazab mein phansa gain aankhen
us ne dekha tha kis nazar se mujhe
dil mein goya sama gain aankhen
mahfil-e-yar mein ba-zauq-e-nigah
lutf kya kya uTha gain aankhen
haal sunte wo kya mera 'hasrat'
wo to kahiye suna gain aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.