rone ka saliqa mujhe aslaf ne baKHsha
rone kā salīqa mujhe aslāf ne baḳhshā
ye mātamī āñkheñ mujhe virse meñ milī haiñ
ye karb kī duniyā kā hai naqsha ise dekho
sab purkheñ hamārī isī shajre meñ milī haiñ
maiñ ghuur ke dekhūñ to burā māntā hai vo
kaise kahūñ ye talḳhiyāñ tarke meñ milī haiñ
ḳhvāboñ ne bhī marne kī hī Thānī hai bil-āḳhir
do chaar kī lāsheñ mire kamre meñ milī haiñ
TuuTe hue rastoñ pe tirā haath pakaḌ luuñ
ye ḳhvāhisheñ bas ishq ke badle meñ milī haiñ
jo laḌkiyāñ jiitī thiiñ mohabbat ke sahāre
do gaz kī hī qabreñ unheñ tohfe meñ milī haiñ
rone ka saliqa mujhe aslaf ne baKHsha
ye matami aankhen mujhe wirse mein mili hain
ye karb ki duniya ka hai naqsha ise dekho
sab purkhen hamari isi shajre mein mili hain
main ghur ke dekhun to bura manta hai wo
kaise kahun ye talKHiyan tarke mein mili hain
KHwabon ne bhi marne ki hi Thani hai bil-aKHir
do chaar ki lashen mere kamre mein mili hain
TuTe hue raston pe tera hath pakaD lun
ye KHwahishen bas ishq ke badle mein mili hain
jo laDkiyan jiti thin mohabbat ke sahaare
do gaz ki hi qabren unhen tohfe mein mili hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.