roz aati hai ek sada mujh mein
roz aatī hai ik sadā mujh meñ
kaun rahtā hai maiñ sivā mujh meñ
kyoñ ye hañgāma hai bapā mujh meñ
kyā koī ḳhvāb mar gayā mujh meñ
kyoñ use DhūñDūñ āsmāñ ke paar
hai yaqīñ rah rahā ḳhudā mujh meñ
saañs letā huuñ dard hotā hai
kyā koī hādisa huā mujh meñ
karb kī aag meñ jalā hai badan
zindagī aa mujhe bachā mujh meñ
maañ ne raushan ise kiyā 'tāriq'
kaise bujh pā.egā diyā mujh meñ
roz aati hai ek sada mujh mein
kaun rahta hai main siwa mujh mein
kyon ye hangama hai bapa mujh mein
kya koi KHwab mar gaya mujh mein
kyon use DhunDun aasman ke par
hai yaqin rah raha KHuda mujh mein
sans leta hun dard hota hai
kya koi hadisa hua mujh mein
karb ki aag mein jala hai badan
zindagi aa mujhe bacha mujh mein
man ne raushan ise kiya 'tariq'
kaise bujh paega diya mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.